wajud par inhisar maine nahin kiya tha
vajūd par inhisār maiñ ne nahīñ kiyā thā
ki ḳhaak kā e'tibār maiñ ne nahīñ kiyā thā
safed resham kī oḌhnī mere haath meñ thī
magar use dāġh-dār maiñ ne nahīñ kiyā thā
ye be-niyāzī kī ḳhū mire husn meñ bahut thī
magar use be-qarār maiñ ne nahīñ kiyā thā
milā thā ḳhorajīn meñ liye merā kāsa-e-sar
magar use sharmsār maiñ ne nahīñ kiyā thā
kahīñ se yak-laḳht zindagī merī kaaT degā
jo rāsta iḳhtiyār maiñ ne nahīñ kiyā thā
sumoñ-tale rauñd de ḳhushī se magar ye sun le
gunāh ai shahsavār! maiñ ne nahīñ kiyā thā
dikhā.ī dene lagā vo ik tīsrā kinārā
abhī javānī ko paar maiñ ne nahīñ kiyā thā
ġhurūb kā vaqt thā muqarrar so chal paḌā maiñ
kisī kā phir intizār maiñ ne nahīñ kiyā thā
wajud par inhisar main ne nahin kiya tha
ki KHak ka e'tibar main ne nahin kiya tha
safed resham ki oDhni mere hath mein thi
magar use dagh-dar main ne nahin kiya tha
ye be-niyazi ki KHu mere husn mein bahut thi
magar use be-qarar main ne nahin kiya tha
mila tha KHorajin mein liye mera kasa-e-sar
magar use sharmsar main ne nahin kiya tha
kahin se yak-laKHt zindagi meri kaT dega
jo rasta iKHtiyar main ne nahin kiya tha
sumon-tale raund de KHushi se magar ye sun le
gunah ai shahsawar! main ne nahin kiya tha
dikhai dene laga wo ek tisra kinara
abhi jawani ko par main ne nahin kiya tha
ghurub ka waqt tha muqarrar so chal paDa main
kisi ka phir intizar main ne nahin kiya tha
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 330)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.