waqar apne buzurgon ka zara bhi kam nahin karte
waqar apne buzurgon ka zara bhi kam nahin karte
Abdul Mateen Niyaz
MORE BYAbdul Mateen Niyaz
vaqār apne buzurgoñ kā zarā bhī kam nahīñ karte
kabhī ham zālimoñ ke sāmne sar ḳham nahīñ karte
tavāzo ke liye kāñToñ kī in ko paal rakhā hai
safar meñ ham musāfir ābloñ kā ġham nahīñ karte
ham ahl-e-zarf ḳhushiyoñ meñ bhī qaabū ḳhud pe rakhte haiñ
dukhī ho kar bhī dukh se āstīneñ nam nahīñ karte
hamāre lafz zaḳhmoñ ke liye bante to haiñ marham
magar phir bhī masīhā.ī kā da.avā ham nahīñ karte
nazar rakhte haiñ mustaqbil kī jānib ham nazar vaale
kabhī guzre zamānoñ ke liye mātam nahīñ karte
falak vāloñ kī jānib un kī saarī mehrbānī hai
ġharīboñ par tavajjoh qibla-e-ālam nahīñ karte
kitāboñ se bhare bastoñ ne kuchh aisā dabāyā hai
'niyāz' is daur ke bachche bahut ūdham nahīñ karte
waqar apne buzurgon ka zara bhi kam nahin karte
kabhi hum zalimon ke samne sar KHam nahin karte
tawazo ke liye kanTon ki in ko pal rakha hai
safar mein hum musafir aablon ka gham nahin karte
hum ahl-e-zarf KHushiyon mein bhi qabu KHud pe rakhte hain
dukhi ho kar bhi dukh se aastinen nam nahin karte
hamare lafz zaKHmon ke liye bante to hain marham
magar phir bhi masihai ka dawa hum nahin karte
nazar rakhte hain mustaqbil ki jaanib hum nazar wale
kabhi guzre zamanon ke liye matam nahin karte
falak walon ki jaanib un ki sari mehrbani hai
gharibon par tawajjoh qibla-e-alam nahin karte
kitabon se bhare baston ne kuchh aisa dabaya hai
'niyaz' is daur ke bachche bahut udham nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.