waqf kar ke zindagi ki saaten tere liye
vaqf kar ke zindagī kī sā.ateñ tere liye
apne sar liiñ maiñ ne kyā kyā āfateñ tere liye
kar liyā nazzāra-e-husn apnī āñkhoñ par harām
maiñ ne radd kar diiñ nazar kī dāvateñ tere liye
tere milne ke liye mumkin thiiñ jitnī sūrateñ
maiñ ne kar Dālīñ vo saarī sūrateñ tere liye
dushmanoñ kī phabtiyāñ aur dostoñ kī la.an-ta.an
oḌh liiñ duniyā kī saarī la.anteñ tere liye
baiTh kar terī galī meñ baiThne vāloñ ke paas
ḳhaak kar liiñ apnī shaḳhsī azmateñ tere liye
apnī izzat aap karne kā bhī jin ko haq nahīñ
maiñ ne un logoñ kī kī haiñ izzateñ tere liye
apnī ḳhidmat jin se lene maiñ sharāfat ko ho aar
kī haiñ un logoñ kī maiñ ne ḳhidmateñ tere liye
kal jo merī minnateñ karte the apne vāste
aaj maiñ kartā huuñ un kī minnateñ tere liye
tere qadmoñ ke sivā un kī talāfī hī nahīñ
maiñ jo bardāsht kī haiñ zillateñ tere liye
mujh ko jin kī qismatoñ ne kar rakhā thā pā.emāl
rauñd Dālīñ maiñ ne un kī qismateñ tere liye
jin mazāroñ par ḳhudā ke mānñe vaale na jaa.eñ
maiñ ne un par jā ke mānīñ minnateñ tere liye
kufr sharmātā hai jin se jheñptā hai jin se shirk
maiñ ne kī haiñ kaisī kaisī bid.ateñ tere liye
āmiloñ ne farz paḌhvā diiñ namāzeñ saikḌoñ
do kī chaar aur chaar kī do rak.ateñ tere liye
rāhat-e-dārain meñ bhī vo ḳhushī mafqūd hai
jis ḳhushī se maiñ ne jhelīñ āfateñ tere liye
jin meñ hotā thā mire dil par nuzūl-e-vahī-e-sher
vaqf-e-āh-o-nāla haiñ vo sā.ateñ tere liye
kaash tū likkhe ki 'bismil' kuchh ḳhabar bhī hai tujhe
kis qadar ġhamgīñ haiñ merī ḳhalvateñ tere liye
waqf kar ke zindagi ki saaten tere liye
apne sar lin main ne kya kya aafaten tere liye
kar liya nazzara-e-husn apni aankhon par haram
main ne radd kar din nazar ki dawaten tere liye
tere milne ke liye mumkin thin jitni suraten
main ne kar Dalin wo sari suraten tere liye
dushmanon ki phabtiyan aur doston ki lan-tan
oDh lin duniya ki sari lanten tere liye
baiTh kar teri gali mein baiThne walon ke pas
KHak kar lin apni shaKHsi azmaten tere liye
apni izzat aap karne ka bhi jin ko haq nahin
main ne un logon ki ki hain izzaten tere liye
apni KHidmat jin se lene main sharafat ko ho aar
ki hain un logon ki main ne KHidmaten tere liye
kal jo meri minnaten karte the apne waste
aaj main karta hun un ki minnaten tere liye
tere qadmon ke siwa un ki talafi hi nahin
main jo bardasht ki hain zillaten tere liye
mujh ko jin ki qismaton ne kar rakha tha paemal
raund Dalin main ne un ki qismaten tere liye
jin mazaron par KHuda ke manne wale na jaen
main ne un par ja ke manin minnaten tere liye
kufr sharmata hai jin se jhenpta hai jin se shirk
main ne ki hain kaisi kaisi bidaten tere liye
aamilon ne farz paDhwa din namazen saikDon
do ki chaar aur chaar ki do rakaten tere liye
rahat-e-darain mein bhi wo KHushi mafqud hai
jis KHushi se main ne jhelin aafaten tere liye
jin mein hota tha mere dil par nuzul-e-wahi-e-sher
waqf-e-ah-o-nala hain wo saaten tere liye
kash tu likkhe ki 'bismil' kuchh KHabar bhi hai tujhe
kis qadar ghamgin hain meri KHalwaten tere liye
- Book : Kulliyat-e-bismil Saeedi (Pg. 204)
- Author : Bismil Saeedi
- Publication : Sahitya Akademi (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.