waqt aaya hai ghazab tundi-e-raftar ke sath
vaqt aayā hai ġhazab tundī-e-raftār ke saath
ki sambhal paa.ī na poshāk bhī dastār ke saath
aane dete nahīñ ranjish meñ bhī dīvāroñ ko
dekh ham nafrateñ bhī karte haiñ kuchh pyaar ke saath
ik tabassum se chaman khiltā gayā phuul samet
phuul kyā ġhunche chaTaḳhte ga.e gulzār ke saath
haath jis par vo rakhegā vahī yūsuf us kā
jins-e-vāfar hai bahut garmī-e-bāzār ke saath
'soz' mauqūf nahīñ shā.irī tak naam mirā
maiñ sarāpā hī ġhazab-soz huuñ kirdār ke saath
waqt aaya hai ghazab tundi-e-raftar ke sath
ki sambhal pai na poshak bhi dastar ke sath
aane dete nahin ranjish mein bhi diwaron ko
dekh hum nafraten bhi karte hain kuchh pyar ke sath
ek tabassum se chaman khilta gaya phul samet
phul kya ghunche chaTaKHte gae gulzar ke sath
hath jis par wo rakhega wahi yusuf us ka
jins-e-wafar hai bahut garmi-e-bazar ke sath
'soz' mauquf nahin shairi tak nam mera
main sarapa hi ghazab-soz hun kirdar ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.