waqt ajib aa gaya mansab-o-jah ke liye
vaqt ajiib aa gayā mansab-o-jāh ke liye
sāhib-e-dil bhī chal paḌe taḳht-o-kulāh ke liye
mire ġhanīm-e-surḳh-rū arsa-e-sad-shikast meñ
koī naved-e-sar-ḳhushī merī sipāh ke liye
us kā hadaf bhī dekhnā merī taraf bhī dekhnā
qatl-e-anā kī shart hai is se nibāh ke liye
mausam-e-gul ko kyā ḳhabar shorish-e-abr-o-bād meñ
tā.ir-e-dil udaas hai shāḳh-e-panāh ke liye
ek navā-e-ātishīñ halqa-ba-halqa jism meñ
phir huī hai tāza-dam taaza gunāh ke liye
kahtā thā koī sham.a-ruḳh dekh mire charāġh-e-shab
koī kiran bachā ke rakh roz-e-siyāh ke liye
ik shab-e-māh ke liye dil hai lahū lahū 'razī'
aañkh sitāra-kesh hai ik shab-e-māh ke liye
waqt ajib aa gaya mansab-o-jah ke liye
sahib-e-dil bhi chal paDe taKHt-o-kulah ke liye
mere ghanim-e-surKH-ru arsa-e-sad-shikast mein
koi nawed-e-sar-KHushi meri sipah ke liye
us ka hadaf bhi dekhna meri taraf bhi dekhna
qatl-e-ana ki shart hai is se nibah ke liye
mausam-e-gul ko kya KHabar shorish-e-abr-o-baad mein
tair-e-dil udas hai shaKH-e-panah ke liye
ek nawa-e-atishin halqa-ba-halqa jism mein
phir hui hai taza-dam taza gunah ke liye
kahta tha koi shama-ruKH dekh mere charagh-e-shab
koi kiran bacha ke rakh roz-e-siyah ke liye
ek shab-e-mah ke liye dil hai lahu lahu 'razi'
aankh sitara-kesh hai ek shab-e-mah ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.