waqt apna ho to tufan-o-bala kuchh bhi nahin
waqt apna ho to tufan-o-bala kuchh bhi nahin
Jagjeewan Lal Asthana sahar
MORE BYJagjeewan Lal Asthana sahar
vaqt apnā ho to tūfān-o-balā kuchh bhī nahīñ
barq girne ko girī aur huā kuchh bhī nahīñ
maiñ ne ik umr guzārī hai tirī furqat meñ
kyā muqaddar meñ mire is ke sivā kuchh bhī nahīñ
sirf hāthoñ ko uThāne kā natīja kyā hai
ho salīqa na duā kā to duā kuchh bhī nahīñ
jaane bhar jaate haiñ kis tarah guloñ se dāman
mere dāman meñ to kāñToñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
baat zaḳhmoñ kī kaho karb kī tashrīh karo
ab mohabbat ke fasāne meñ rahā kuchh bhī nahīñ
dard-o-ġham āh-o-fuġhāñ soz-e-nihāñ ashk ravāñ
dosto is ke sivā merā patā kuchh bhī nahīñ
chañd sikkoñ ke liye shauq se bik jaate haiñ
aaj ke daur meñ insāñ kī anā kuchh bhī nahīñ
raushnī jitnī thī sab luuT lī añdhiyāroñ ne
ab ujāloñ meñ 'sahar' aur bachā kuchh bhī nahīñ
waqt apna ho to tufan-o-bala kuchh bhi nahin
barq girne ko giri aur hua kuchh bhi nahin
main ne ek umr guzari hai teri furqat mein
kya muqaddar mein mere is ke siwa kuchh bhi nahin
sirf hathon ko uThane ka natija kya hai
ho saliqa na dua ka to dua kuchh bhi nahin
jaane bhar jate hain kis tarah gulon se daman
mere daman mein to kanTon ke siwa kuchh bhi nahin
baat zaKHmon ki kaho karb ki tashrih karo
ab mohabbat ke fasane mein raha kuchh bhi nahin
dard-o-gham aah-o-fughan soz-e-nihan ashk rawan
dosto is ke siwa mera pata kuchh bhi nahin
chand sikkon ke liye shauq se bik jate hain
aaj ke daur mein insan ki ana kuchh bhi nahin
raushni jitni thi sab luT li andhiyaron ne
ab ujalon mein 'sahar' aur bacha kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.