waqt badla log badle ab kahan wo mastiyan
vaqt badlā log badle ab kahāñ vo mastiyāñ
jab koī lai chheḌtā thā jhūmtī thiiñ hastiyāñ
nafratoñ kī pusht par haiñ ūñchī-ūñchī hastiyāñ
ab mohabbat kī hifāzat kar rahī haiñ pastiyāñ
Dūbne vaale the jab ham ik sahārā bhī na thā
jaise hī sāhil pe aa.e gher baiThīñ kashtiyāñ
merī ḳhuddārī hai tanhā is hujūm-e-hirs meñ
dekhiye saf meñ khaḌī haiñ kaisī kaisī hastiyāñ
kyā patā dil ke kināre us jagah par jā mileñ
jis taraf ko chal paḌī haiñ zindagī kī kashtiyāñ
le ke aayā jītne kā azm dariyā paar vo
jis ne sāhil par pahuñch kar phūñk dī haiñ kashtiyāñ
waqt badla log badle ab kahan wo mastiyan
jab koi lai chheDta tha jhumti thin hastiyan
nafraton ki pusht par hain unchi-unchi hastiyan
ab mohabbat ki hifazat kar rahi hain pastiyan
Dubne wale the jab hum ek sahaara bhi na tha
jaise hi sahil pe aae gher baiThin kashtiyan
meri KHuddari hai tanha is hujum-e-hirs mein
dekhiye saf mein khaDi hain kaisi kaisi hastiyan
kya pata dil ke kinare us jagah par ja milen
jis taraf ko chal paDi hain zindagi ki kashtiyan
le ke aaya jitne ka azm dariya par wo
jis ne sahil par pahunch kar phunk di hain kashtiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.