Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt be-waqt dilbari karna

Munazza Sahar

waqt be-waqt dilbari karna

Munazza Sahar

MORE BYMunazza Sahar

    vaqt be-vaqt dilbarī karnā

    tum se sīkhā hai bas yahī karnā

    terī āñkhoñ ko tere chehre ko

    bhar ke āñkhoñ meñ raushnī karnā

    us se pūchhūñ vafā jo matlab

    mujh se kahtā hai shā.irī karnā

    dar-ba-dar ho ke chāñd ne jaanā

    kaisā lagtā hai chāñdnī karnā

    kitnā mushkil hai dekho jiine meñ

    saañs lene ko zindagī karnā

    waqt be-waqt dilbari karna

    tum se sikha hai bas yahi karna

    teri aankhon ko tere chehre ko

    bhar ke aankhon mein raushni karna

    us se puchhun wafa ka jo matlab

    mujh se kahta hai shairi karna

    dar-ba-dar ho ke chand ne jaana

    kaisa lagta hai chandni karna

    kitna mushkil hai dekho jine mein

    sans lene ko zindagi karna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now