waqt be-waqt wo yaad aate rahe
vaqt be-vaqt vo yaad aate rahe
shiddatoñ se haiñ dil jo jalāte rahe
fāsle kam na hote dikhe phir hameñ
go qadm-dar-qadam vo baḌhāte rahe
dil meñ kuchh aur thā lab pe thā aur kuchh
kahne ko ham se ulfat nibhāte rahe
pyaar meñ us ke har choT gahrī milī
zaḳhm par zaḳhm ham roz khāte rahe
ye qalam bas mirā us ko likhtā rahā
aañkh meñ ḳhvāb jis ke sajāte rahe
aah bhartī rahī zindagī ye mirī
mahfiloñ meñ magar muskurāte rahe
dil ne kholī girah bas usī ke liye
jis ke naġhme mire dil ko bhāte rahe
waqt be-waqt wo yaad aate rahe
shiddaton se hain dil jo jalate rahe
fasle kam na hote dikhe phir hamein
go qadm-dar-qadam wo baDhate rahe
dil mein kuchh aur tha lab pe tha aur kuchh
kahne ko hum se ulfat nibhate rahe
pyar mein us ke har choT gahri mili
zaKHm par zaKHm hum roz khate rahe
ye qalam bas mera us ko likhta raha
aankh mein KHwab jis ke sajate rahe
aah bharti rahi zindagi ye meri
mahfilon mein magar muskuraate rahe
dil ne kholi girah bas usi ke liye
jis ke naghme mere dil ko bhate rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.