waqt-e-aKHir jo baalin par aajaiyo
vaqt-e-āḳhir jo bālīñ par ājā.iyo
yaad rakhiyo bahut nekiyāñ pā.iyo
mere laa.eq jo ho mujh ko batlā.iyo
jaan hāzir hai kuchh aur farmā.iyo
ek Dar mujh ko arz-e-tamannā meñ hai
tum pasīne pasīne na ho jā.iyo
ham duā amn kī māñgte haiñ magar
aap bhī apnī paa.el ko samjhā.iyo
ham ko bhī kuchh lakīroñ kī pahchān hai
aap apnī hathelī idhar lā.iyo
hāl-e-dil ham sunāte haiñ hañste ho tum
ham nahīñ bolte tum se ab jā.iyo
miir ke rañg meñ likh ke ġhazleñ 'alīm'
dhīre dhīre na tum miir ban jā.iyo
waqt-e-aKHir jo baalin par aajaiyo
yaad rakhiyo bahut nekiyan paiyo
mere laeq jo ho mujh ko batlaiyo
jaan hazir hai kuchh aur farmaiyo
ek Dar mujh ko arz-e-tamanna mein hai
tum pasine pasine na ho jaiyo
hum dua amn ki mangte hain magar
aap bhi apni pael ko samjhaiyo
hum ko bhi kuchh lakiron ki pahchan hai
aap apni hatheli idhar laiyo
haal-e-dil hum sunate hain hanste ho tum
hum nahin bolte tum se ab jaiyo
mir ke rang mein likh ke ghazlen 'alim'
dhire dhire na tum mir ban jaiyo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.