waqt-e-mushkil hai pa ye waqt guzar jaega
vaqt-e-mushkil hai pa ye vaqt guzar jā.egā
yār-o-aġhyār kā haañ faisla kar jā.egā
Thokareñ gardish-e-ayyām kī gar khā.egā
pyaar kā bhuut tire sar se utar jā.egā
kab talak zabt karegā bhalā sūraj kī tapish
phuul to phuul hai ik roz bikhar jā.egā
muddatoñ baad bhī zinda hai bichhaḌ kar mujh se
bin mire us ne kahā thā ki vo mar jā.egā
shiddat-e-ishq-o-mohabbat meñ kamī aa.egī
yaar kī diid ko tū roz agar jā.egā
rakh ke ādāb-e-duā pesh-e-nazar ai daa.ī
tū duā kar tirā dāman abhī bhar jā.egā
aa.egā aisā burā vaqt bhī sochā hī thā
bechte apnā hunar ahl-e-hunar jā.egā
jaane ghar vāloñ ko kis darja masarrat hogī
sub.h kā bhūlā agar shaam ko ghar jā.egā
tujh ko ho jā.egī duniyā kī haqīqat ma.alūm
jab janāza tirā marqad meñ utar jā.egā
zindagī meñ to palaT kar use dekhā hī nahīñ
bahar-e-tadfīn magar saarā nagar jā.egā
ishq-e-mahbūb kī lazzat ho mayassar jis ko
janib-e-dār bhī be-ḳhauf-o-ḳhatar jā.egā
faisla hogā adālat meñ usī ke haq meñ
bahr-e-qāzī jo liye kīsa-e-zar jā.egā
duur se paanī lagegā pa na hogā paanī
tishna-lab dasht meñ jis samt bhī gar jā.egā
waqt-e-mushkil hai pa ye waqt guzar jaega
yar-o-aghyar ka han faisla kar jaega
Thokaren gardish-e-ayyam ki gar khaega
pyar ka bhut tere sar se utar jaega
kab talak zabt karega bhala suraj ki tapish
phul to phul hai ek roz bikhar jaega
muddaton baad bhi zinda hai bichhaD kar mujh se
bin mere us ne kaha tha ki wo mar jaega
shiddat-e-ishq-o-mohabbat mein kami aaegi
yar ki did ko tu roz agar jaega
rakh ke aadab-e-dua pesh-e-nazar ai dai
tu dua kar tera daman abhi bhar jaega
aaega aisa bura waqt bhi socha hi tha
bechte apna hunar ahl-e-hunar jaega
jaane ghar walon ko kis darja masarrat hogi
subh ka bhula agar sham ko ghar jaega
tujh ko ho jaegi duniya ki haqiqat malum
jab janaza tera marqad mein utar jaega
zindagi mein to palaT kar use dekha hi nahin
bahar-e-tadfin magar sara nagar jaega
ishq-e-mahbub ki lazzat ho mayassar jis ko
janib-e-dar bhi be-KHauf-o-KHatar jaega
faisla hoga adalat mein usi ke haq mein
bahr-e-qazi jo liye kisa-e-zar jaega
dur se pani lagega pa na hoga pani
tishna-lab dasht mein jis samt bhi gar jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.