waqt-e-ruKHsat mujhe qadmon mein machal jaane do
vaqt-e-ruḳhsat mujhe qadmoñ meñ machal jaane do
ye tamannā to mire dil kī nikal jaane do
ahd-o-paimān tumhāre na badalne paa.eñ
saarī duniyā jo badaltī hai badal jaane do
lab-kushā.ī kī ijāzat jo nahīñ hai na sahī
merī palkoñ se mire ashk to Dhal jaane do
apne āñgan kī ḳhunuk chhāñv mubārak ho tumheñ
mujh ko sahrā kī kaḌī dhuup meñ jal jaane do
waqt-e-ruKHsat mujhe qadmon mein machal jaane do
ye tamanna to mere dil ki nikal jaane do
ahd-o-paiman tumhaare na badalne paen
sari duniya jo badalti hai badal jaane do
lab-kushai ki ijazat jo nahin hai na sahi
meri palkon se mere ashk to Dhal jaane do
apne aangan ki KHunuk chhanw mubarak ho tumhein
mujh ko sahra ki kaDi dhup mein jal jaane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.