waqt-e-sahar ek aisi uThi raushni ki bas
vaqt-e-sahar ik aisī uThī raushnī ki bas
jis aañkh ne bhī dekhā yuuñ chuñdhiyā ga.ī ki bas
jī bhar ke is ke baad kiyā raqs maut ne
jaage huoñ ko sub.h ko niiñd aa ga.ī ki bas
vahshat mire mizāj kā hissa na ban sakī
purvā.iyāñ sameT ke kahne lagī ki bas
mujh pe karam to hotā rahā rab kā baar baar
bā-vasf us ke sharm jo aatī rahī ki bas
bil-āḳhir apnī āñkhoñ se jaarī lahū huā
har sānahe pe aañkh yuuñ rotī rahī ki bas
'tāhir' liyā na bhuul ke jiine kā naam bhī
aise basar hamārī huī zindagī ki bas
waqt-e-sahar ek aisi uThi raushni ki bas
jis aankh ne bhi dekha yun chundhiya gai ki bas
ji bhar ke is ke baad kiya raqs maut ne
jage huon ko subh ko nind aa gai ki bas
wahshat mere mizaj ka hissa na ban saki
purwaiyan sameT ke kahne lagi ki bas
mujh pe karam to hota raha rab ka bar bar
ba-wasf us ke sharm jo aati rahi ki bas
bil-aKHir apni aankhon se jari lahu hua
har sanahe pe aankh yun roti rahi ki bas
'tahir' liya na bhul ke jine ka nam bhi
aise basar hamari hui zindagi ki bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.