waqt guzra hai tere hijr mein aise jaanan
vaqt guzrā hai tire hijr meñ aise jānāñ
koī machhlī binā paanī ke ho jaise jānāñ
ham ko ma.alūm thā tū ḳhush hai bichhaḌ kar ham se
phir bhī ham yaad meñ behad tirī ro.e jānāñ
har guzargāh tirī mujh ko thī manzil kī tarah
tū ne dekhā nahīñ mujh ko kabhī muḌ ke jānāñ
raah kāñToñ bharī gulshan meñ badal saktī thī
ek duuje ko kabhī ham jo samajhte jānāñ
jin pe chalte the zamāne ko bhulā kar ham log
yaad karte haiñ hameñ ab bhī vo raste jānāñ
dil ke goshe meñ thā sandūq tirī yādoñ kā
kar diyā hai use maazī ke havāle jānāñ
ab bhī rah rah ke mire dil meñ chamak uThte haiñ
tū ne dekhe the jo kuchh TūTte taare jānāñ
kuchh to vo zaḳhm haiñ jo tū ne diye haiñ mujh ko
aur kuchh zaḳhm ki logoñ ne uchhāle jānāñ
apne milne ke zamāne meñ haiñ qisse mash.hūr
ham to do pal bhī kabhī saath na baiThe jānāñ
ye ġhazab hai ki ye āsār qayāmat ke haiñ
ek ma.asūm mohabbat pe ye pahre jānāñ
āzmā.ish hai kaḌī terī mohabbat bhī sanam
zulm har rang meñ ham ne tire dekhe jānāñ
terā ye shahr to maskan hai hunar-mandoñ kā
baat badlī huī badle hue chehre jānāñ
murġh-e-bismil kī tarah jaise taḌaptā huuñ maiñ
tū bhī chāhat meñ mirī aise hī taḌpe jānāñ
tere shānoñ pe yūñhī haath rakhā thā maiñ ne
munjamid ho ga.e yādoñ meñ vo lamhe jānāñ
maiñ bhī kuchh vaqt na ruk paayā tumhārī ḳhātir
tum bhī mere liye kuchh der na Thahre jānāñ
tū nigāhoñ meñ basā letī hameñ to ham bhī
ashk ban kar tire gāloñ pe luḌhakte jānāñ
ham ne iqbāl-e-mohabbat pe kahāñ jabr kiyā
baat to baat thī tum baat hī sunte jānāñ
tujh ko Dar hai tujhe mujh se na mohabbat ho jaa.e
mujh ko andesha ise sach na tū samjhe jānāñ
apne milne kī nahīñ aaj bhī koī ummīd
ek muddat huī hālāt na badle jānāñ
waqt guzra hai tere hijr mein aise jaanan
koi machhli bina pani ke ho jaise jaanan
hum ko malum tha tu KHush hai bichhaD kar hum se
phir bhi hum yaad mein behad teri roe jaanan
har guzargah teri mujh ko thi manzil ki tarah
tu ne dekha nahin mujh ko kabhi muD ke jaanan
rah kanTon bhari gulshan mein badal sakti thi
ek duje ko kabhi hum jo samajhte jaanan
jin pe chalte the zamane ko bhula kar hum log
yaad karte hain hamein ab bhi wo raste jaanan
dil ke goshe mein tha sanduq teri yaadon ka
kar diya hai use mazi ke hawale jaanan
ab bhi rah rah ke mere dil mein chamak uThte hain
tu ne dekhe the jo kuchh TuTte tare jaanan
kuchh to wo zaKHm hain jo tu ne diye hain mujh ko
aur kuchh zaKHm ki logon ne uchhaale jaanan
apne milne ke zamane mein hain qisse mashhur
hum to do pal bhi kabhi sath na baiThe jaanan
ye ghazab hai ki ye aasar qayamat ke hain
ek masum mohabbat pe ye pahre jaanan
aazmaish hai kaDi teri mohabbat bhi sanam
zulm har rang mein hum ne tere dekhe jaanan
tera ye shahr to maskan hai hunar-mandon ka
baat badli hui badle hue chehre jaanan
murgh-e-bismil ki tarah jaise taDapta hun main
tu bhi chahat mein meri aise hi taDpe jaanan
tere shanon pe yunhi hath rakha tha main ne
munjamid ho gae yaadon mein wo lamhe jaanan
main bhi kuchh waqt na ruk paya tumhaari KHatir
tum bhi mere liye kuchh der na Thahre jaanan
tu nigahon mein basa leti hamein to hum bhi
ashk ban kar tere galon pe luDhakte jaanan
hum ne iqbaal-e-mohabbat pe kahan jabr kiya
baat to baat thi tum baat hi sunte jaanan
tujh ko Dar hai tujhe mujh se na mohabbat ho jae
mujh ko andesha ise sach na tu samjhe jaanan
apne milne ki nahin aaj bhi koi ummid
ek muddat hui haalat na badle jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.