waqt hai kyun is qadar Thahra hua
vaqt hai kyuuñ is qadar Thahrā huā
zaḳhm merā aur bhī gahrā huā
raah par tanhā chale jaate the ham
qāfila sahrā meñ thā bhaTkā huā
har koī qātil use lagne lagā
saañs bhī letā hai vo Dartā huā
har qadam ko soch kar rakkhegā ab
hādsa hai raah meñ chaltā huā
hote hote ḳhatm hī ho jā.egā
umr kā sūraj bhī hai Dhaltā huā
waqt hai kyun is qadar Thahra hua
zaKHm mera aur bhi gahra hua
rah par tanha chale jate the hum
qafila sahra mein tha bhaTka hua
har koi qatil use lagne laga
sans bhi leta hai wo Darta hua
har qadam ko soch kar rakkhega ab
hadsa hai rah mein chalta hua
hote hote KHatm hi ho jaega
umr ka suraj bhi hai Dhalta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.