waqt hum yun guzar lete hain
vaqt ham yuuñ guzār lete haiñ
jaise muflis udhār lete haiñ
TuuT jaa.e na dil muqābil kā
jiit pā kar bhī haar lete haiñ
apne hisse ke phuul de ke unheñ
un ke hisse kā ḳhaar lete haiñ
kar ke tanhā samāj se ḳhud ko
qarz dil kā utaar lete haiñ
jab na taqsīm ghar kī ho ham se
zalzaloñ ko pukār lete haiñ
un kā va.ada fareb hai phir bhī
jaane kyoñ baar baar lete haiñ
be-qarārī atā huī jin se
ham unhī se qarār lete haiñ
vo bahāreñ luTā rahe haiñ chalo
aks dil meñ utaar lete haiñ
khaal zinda shikār kī aksar
husn vaale utaar lete haiñ
dil ke armāñ na maar de koī
ham unheñ ḳhud hī maar lete haiñ
ham se munkir-nakīr shām-o-sahar
chāhatoñ kā shumār lete haiñ
waqt hum yun guzar lete hain
jaise muflis udhaar lete hain
TuT jae na dil muqabil ka
jit pa kar bhi haar lete hain
apne hisse ke phul de ke unhen
un ke hisse ka KHar lete hain
kar ke tanha samaj se KHud ko
qarz dil ka utar lete hain
jab na taqsim ghar ki ho hum se
zalzalon ko pukar lete hain
un ka wada fareb hai phir bhi
jaane kyon bar bar lete hain
be-qarari ata hui jin se
hum unhi se qarar lete hain
wo bahaaren luTa rahe hain chalo
aks dil mein utar lete hain
khaal zinda shikar ki aksar
husn wale utar lete hain
dil ke arman na mar de koi
hum unhen KHud hi mar lete hain
hum se munkir-nakir sham-o-sahar
chahaton ka shumar lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.