waqt ek dariya hai dariya sab baha le jaega
vaqt ik dariyā hai dariyā sab bahā le jā.egā
ham magar tinke haiñ ham tinkoñ se kyā le jā.egā
ik ajab āshob hai kyuuñ bastiyoñ meñ jalvagar
kyā ye har insān se ḳhauf-e-ḳhudā le jā.egā
hai to ḳhurshīd-e-haqīqat par baḌā be-mehr hai
dil se jazbe aañkh se aañsū churā le jā.egā
boriye par baiThne kā lutf hī kuchh aur hai
shahryār-e-asr is takiye se kyā le jā.egā
har guzargāh-e-tamannā par bahut sī gard hai
lekin is ko ek hī jhoñkā uḌā le jā.egā
āfiyat ke dā.eroñ meñ yaar saare band haiñ
koī mausam koī tūfāñ us se kyā le jā.egā
waqt ek dariya hai dariya sab baha le jaega
hum magar tinke hain hum tinkon se kya le jaega
ek ajab aashob hai kyun bastiyon mein jalwagar
kya ye har insan se KHauf-e-KHuda le jaega
hai to KHurshid-e-haqiqat par baDa be-mehr hai
dil se jazbe aankh se aansu chura le jaega
boriye par baiThne ka lutf hi kuchh aur hai
shahryar-e-asr is takiye se kya le jaega
har guzargah-e-tamanna par bahut si gard hai
lekin is ko ek hi jhonka uDa le jaega
aafiyat ke daeron mein yar sare band hain
koi mausam koi tufan us se kya le jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.