waqt jab karwaTen badalta hai
vaqt jab karvaTeñ badaltā hai
fitna-e-hashr saath chaltā hai
mauj-e-ġham se hī dil bahaltā hai
ye charāġh āñdhiyoñ meñ jaltā hai
us ko tūfāñ Dubo nahīñ saktā
jo kināroñ se bach ke chaltā hai
kis ko mā'lūm hai junūn-e-hayāt
sāya-e-āgahī meñ paltā hai
un kī mahfil meñ chal ba-hosh-e-tamām
kaun gir kar yahāñ sañbhaltā hai
maiñ karūñ kyuuñ na us kī qadr 'anvar'
dil ke sāñche meñ ashk Dhaltā hai
waqt jab karwaTen badalta hai
fitna-e-hashr sath chalta hai
mauj-e-gham se hi dil bahalta hai
ye charagh aandhiyon mein jalta hai
us ko tufan Dubo nahin sakta
jo kinaron se bach ke chalta hai
kis ko ma'lum hai junun-e-hayat
saya-e-agahi mein palta hai
un ki mahfil mein chal ba-hosh-e-tamam
kaun gir kar yahan sanbhalta hai
main karun kyun na us ki qadr 'anwar'
dil ke sanche mein ashk Dhalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.