waqt jab sazgar hota hai
vaqt jab sāzgār hotā hai
sach hai dushman bhī yaar hotā hai
baañT le ġham jo ġham ke māroñ kā
vo baḌā ġham-gusār hotā hai
log us ko bhī kaaT dete haiñ
peḌ jo sāya-dār hotā hai
jis kā koī nahīñ zamāne meñ
us kā parvardigār hotā hai
jis ke āġhāz kā ho nek anjām
kaam vo shāndār hotā hai
aap gulshan meñ jab nahīñ hote
gul bhī nazroñ meñ ḳhaar hotā hai
dil kī baazī vo haar ke bole
jiit kā naam haar hotā hai
vo baḌā ḳhush-nasīb hai yaaro
yaar ko jis se pyaar hotā hai
chashm-e-bīmār band hone lagī
ḳhatm ab intizār hotā hai
us kā lāsha koī na ho jis kā
be-kafan be-mazār hotā hai
dīda-e-ahl-e-dard meñ 'purnam'
ashk dil kī pukār hotā hai
waqt jab sazgar hota hai
sach hai dushman bhi yar hota hai
banT le gham jo gham ke maron ka
wo baDa gham-gusar hota hai
log us ko bhi kaT dete hain
peD jo saya-dar hota hai
jis ka koi nahin zamane mein
us ka parwardigar hota hai
jis ke aaghaz ka ho nek anjam
kaam wo shandar hota hai
aap gulshan mein jab nahin hote
gul bhi nazron mein KHar hota hai
dil ki bazi wo haar ke bole
jit ka nam haar hota hai
wo baDa KHush-nasib hai yaro
yar ko jis se pyar hota hai
chashm-e-bimar band hone lagi
KHatm ab intizar hota hai
us ka lasha koi na ho jis ka
be-kafan be-mazar hota hai
dida-e-ahl-e-dard mein 'purnam'
ashk dil ki pukar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.