waqt ka daman phisalta ja raha hai
waqt ka daman phisalta ja raha hai
Shubha Shukla Mishra adhar
MORE BYShubha Shukla Mishra adhar
vaqt kā dāman phisaltā jā rahā hai
'umr kā pal pal nikaltā jā rahā hai
ho ga.ī hai zindagī vīrān jaisī
kis tarah sab kuchh badaltā rahā hai
kyā pata ye raah niklegī kahāñ par
ye zamāna jis pe chaltā jā rahā hai
ghul rahā hai sañkhiyā kitnā havā meñ
har taraf mausam badaltā jā rahā hai
soch meñ chingāriyāñ sī uTh rahī ab
man meñ ik armāñ machaltā jā rahā hai
maun hotī jā rahī hai kāmnā.eñ
shor meñ māhaul Dhaltā jā rahā hai
dekhte haiñ āsmāñ ke ḳhvāb to sab
hausla lekin pighaltā jā rahā hai
beTiyāñ bindas hotī jā rahīñ to
haath se beTā nikaltā jā rahā hai
kaun ho saktā hai ik maañ ke 'alāva
jis kā har ashīsh phaltā jā rahā hai
waqt ka daman phisalta ja raha hai
'umr ka pal pal nikalta ja raha hai
ho gai hai zindagi viran jaisi
kis tarah sab kuchh badalta raha hai
kya pata ye rah niklegi kahan par
ye zamana jis pe chalta ja raha hai
ghul raha hai sankhiya kitna hawa mein
har taraf mausam badalta ja raha hai
soch mein chingariyan si uTh rahi ab
man mein ek arman machalta ja raha hai
maun hoti ja rahi hai kaamnaen
shor mein mahaul Dhalta ja raha hai
dekhte hain aasman ke KHwab to sab
hausla lekin pighalta ja raha hai
beTiyan bindas hoti ja rahin to
hath se beTa nikalta ja raha hai
kaun ho sakta hai ek man ke 'alawa
jis ka har ashish phalta ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.