waqt ka intiKHab hain hum log
vaqt kā intiḳhāb haiñ ham log
kitne izzat-ma.āb haiñ ham log
hādse ham pe naaz karte haiñ
har balā kā javāb haiñ ham log
ham se miltī hai raushnī sab ko
vaqt kā āftāb haiñ ham log
ham ne tūfāñ ke ruḳh bhī moḌe haiñ
dekhne meñ habāb haiñ ham log
ham ne likkhā hai pyaar kā dastūr
āshtī kī kitāb haiñ ham log
ḳhud ko patthar banā liyā ham ne
tere dil kā javāb haiñ ham log
tū hamāre diloñ kī dhaḌkan hai
terī āñkhoñ kā ḳhvāb haiñ ham log
chashm-e-yārāñ meñ ḳhaar haiñ lekin
dar-haqīqat gulāb haiñ ham log
ham ko duniyā 'nazīr' kuchh bhī kahe
aap apnā javāb haiñ ham log
waqt ka intiKHab hain hum log
kitne izzat-maab hain hum log
hadse hum pe naz karte hain
har bala ka jawab hain hum log
hum se milti hai raushni sab ko
waqt ka aaftab hain hum log
hum ne tufan ke ruKH bhi moDe hain
dekhne mein habab hain hum log
hum ne likkha hai pyar ka dastur
aashti ki kitab hain hum log
KHud ko patthar bana liya hum ne
tere dil ka jawab hain hum log
tu hamare dilon ki dhaDkan hai
teri aankhon ka KHwab hain hum log
chashm-e-yaran mein KHar hain lekin
dar-haqiqat gulab hain hum log
hum ko duniya 'nazir' kuchh bhi kahe
aap apna jawab hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.