waqt ka intiKHab hain hum log
vaqt kā intiḳhāb haiñ ham log
bānī-e-inqalāb haiñ ham log
koī ham sā nahīñ zamāne meñ
aap apnā javāb haiñ ham log
tere qadmoñ kī ḳhaak haiñ saaqī
rashk-e-sad-āftāb haiñ ham log
husn meñ aap be-misāl sahī
ishq meñ lā-javāb haiñ ham log
husn vaalo hamārī qadr karo
husn kī āb-o-tāb haiñ ham log
maat khaa.ī hai dil kī baazī meñ
kis qadar kāmyāb haiñ ham log
sar adab se jhukā.iye 'tālib'
ik muqaddas kitāb haiñ ham log
waqt ka intiKHab hain hum log
bani-e-inqalab hain hum log
koi hum sa nahin zamane mein
aap apna jawab hain hum log
tere qadmon ki KHak hain saqi
rashk-e-sad-aftab hain hum log
husn mein aap be-misal sahi
ishq mein la-jawab hain hum log
husn walo hamari qadr karo
husn ki aab-o-tab hain hum log
mat khai hai dil ki bazi mein
kis qadar kaamyab hain hum log
sar adab se jhukaiye 'talib'
ek muqaddas kitab hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.