waqt ka kya hai mere yar badal jata hai
vaqt kā kyā hai mire yaar badal jaatā hai
aag lagtī hai to bāzār badal jaatā hai
ham daraḳhtoñ ke to phal bhī nahīñ badle ab tak
in parindoñ kā to ghar-bār badal jaatā hai
ḳhvāb har baar sadā.eñ diye rah jaate haiñ
ik irāda hai ki har baar badal jaatā hai
raat bhar vasl-e-musalsal meñ magan rahtā huuñ
aañkh khultī hai to kirdār badal jaatā hai
maan letā huuñ tujhe mujh se mohabbat hogī
par mohabbat meñ adākār badal jaatā hai
bain karte hue 'ahmad' ko ye ma.alūm nahīñ
bain se rañj kā me.aar badal jaatā hai
waqt ka kya hai mere yar badal jata hai
aag lagti hai to bazar badal jata hai
hum daraKHton ke to phal bhi nahin badle ab tak
in parindon ka to ghar-bar badal jata hai
KHwab har bar sadaen diye rah jate hain
ek irada hai ki har bar badal jata hai
raat bhar wasl-e-musalsal mein magan rahta hun
aankh khulti hai to kirdar badal jata hai
man leta hun tujhe mujh se mohabbat hogi
par mohabbat mein adakar badal jata hai
bain karte hue 'ahmad' ko ye malum nahin
bain se ranj ka mear badal jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.