Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt ka qafila aata hai guzar jata hai

Nushur Wahidi

waqt ka qafila aata hai guzar jata hai

Nushur Wahidi

MORE BYNushur Wahidi

    vaqt qāfila aatā hai guzar jaatā hai

    aadmī apnī manzil meñ Thahar jaatā hai

    ek bigḌī huī qismat pe na hañsnā ai dost

    jaane kis vaqt ye insān sañvar jaatā hai

    is taraf aish sham.eñ to udhar dil ke charāġh

    dekhnā ye hai ki parvāna kidhar jaatā hai

    jām-o-sahbā mujhe fikr nahīñ ai ġham-e-dil

    merā paimāna to ashkoñ se bhar jaatā hai

    ek rishta bhī mohabbat agar TuuT gayā

    dekhte dekhte shīrāza bikhar jaatā hai

    haal mere liye hai lamha-e-ā.inda 'nushūr'

    vaqt shā.er ke liye pahle guzar jaatā hai

    waqt ka qafila aata hai guzar jata hai

    aadmi apni hi manzil mein Thahar jata hai

    ek bigDi hui qismat pe na hansna ai dost

    jaane kis waqt ye insan sanwar jata hai

    is taraf aish ki shamen to udhar dil ke charagh

    dekhna ye hai ki parwana kidhar jata hai

    jam-o-sahba ki mujhe fikr nahin ai gham-e-dil

    mera paimana to ashkon hi se bhar jata hai

    ek rishta bhi mohabbat ka agar TuT gaya

    dekhte dekhte shiraaza bikhar jata hai

    haal mere liye hai lamha-e-ainda 'nushur'

    waqt shaer ke liye pahle guzar jata hai

    Source :
    • Book : Sawad-e-manzil (Pg. 283)
    • Author : Nushoor Wahedi
    • Publication : Maktaba Jamia Ltd, Delhi (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now