waqt kaisa aa gaya sara jahan KHatre mein hai

waqt kaisa aa gaya sara jahan KHatre mein hai
Dr. Mala Kapur Gauhar
MORE BYDr. Mala Kapur Gauhar
vaqt kaisā aa gayā saarā jahāñ ḳhatre meñ hai
ye zamīñ ḳhatre meñ hai aur āsmāñ ḳhatre meñ hai
dekh kar gardish meñ mujh ko tū na lahje ko badal
saath mere terā bhī to kārvāñ ḳhatre meñ hai
terā kūcha merī bastī gaañv kyā aur shahr kyā
baat kyā mazlūm kī shāh-e-jahāñ ḳhatre meñ hai
bolne vāloñ ko ḳhatra thā zamāne kā magar
hairatoñ kī baat hai ye be-zabāñ ḳhatre meñ hai
dekhiye kyā kyā dikhātī hai mohabbat apnā rang
pahle dil ḳhatre meñ thā ab to ye jaañ ḳhatre meñ hai
zahr-ālūda havā aisī chalī hai in dinoñ
gulsitāñ ḳhatre meñ hai har āshiyāñ ḳhatre meñ hai
aadmī kī baat kyā auqāt kyā 'gauhar' tirī
ḳhud ḳhudā us kī ḳhudā.ī sab yahāñ ḳhatre meñ hai
waqt kaisa aa gaya sara jahan KHatre mein hai
ye zamin KHatre mein hai aur aasman KHatre mein hai
dekh kar gardish mein mujh ko tu na lahje ko badal
sath mere tera bhi to karwan KHatre mein hai
tera kucha meri basti ganw kya aur shahr kya
baat kya mazlum ki shah-e-jahan KHatre mein hai
bolne walon ko KHatra tha zamane ka magar
hairaton ki baat hai ye be-zaban KHatre mein hai
dekhiye kya kya dikhati hai mohabbat apna rang
pahle dil KHatre mein tha ab to ye jaan KHatre mein hai
zahr-aluda hawa aisi chali hai in dinon
gulsitan KHatre mein hai har aashiyan KHatre mein hai
aadmi ki baat kya auqat kya 'gauhar' teri
KHud KHuda us ki KHudai sab yahan KHatre mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.