waqt kam fasla ziyaada hai
vaqt kam fāsla ziyāda hai
hijr kā rāsta ziyāda hai
marhale aur bhī bahut haiñ mujhe
āḳhirī marhala ziyāda hai
zaat se ek jang jaarī hai
aur ye mā'raka ziyāda hai
ham-safar ek bhī nahīñ merā
haañ magar qāfila ziyāda hai
vasl kohna sharāb jaisā hai
nashsha kam zā.iqa ziyāda hai
in kitāboñ meñ bas yahī hai kamī
ziist kam falsafa ziyāda hai
raat sadiyoñ se hai muhīt-e-abad
aur ye almiya ziyāda hai
ik ta'alluq jo tujh se thā jānāñ
us se kuchh silsila ziyāda hai
mas.ale aur bhī bahut haiñ magar
dard kā mas.ala ziyāda hai
waqt kam fasla ziyaada hai
hijr ka rasta ziyaada hai
marhale aur bhi bahut hain mujhe
aaKHiri marhala ziyaada hai
zat se ek jang jari hai
aur ye ma'raka ziyaada hai
ham-safar ek bhi nahin mera
han magar qafila ziyaada hai
wasl kohna sharab jaisa hai
nashsha kam zaiqa ziyaada hai
in kitabon mein bas yahi hai kami
zist kam falsafa ziyaada hai
raat sadiyon se hai muhit-e-abad
aur ye almiya ziyaada hai
ek ta'alluq jo tujh se tha jaanan
us se kuchh silsila ziyaada hai
masale aur bhi bahut hain magar
dard ka masala ziyaada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.