waqt ke daman se dagh-e-tirgi dho jaenge
vaqt ke dāman se dāġh-e-tīrgī dho jā.eñge
dard kā sūraj zamīn-e-shab meñ ham bo jā.eñge
aaj rone kī jagah par jin ko aatī hai hañsī
kal vahī hañsne ke mauqe par lahū ro jā.eñge
kuchh na kuchh tuutī kī bhī sunte agar ye jānte
ek din naqqār-ḳhāne be-sadā ho jā.eñge
raat kī rañgīniyāñ muñh dekhtī rah jā.eñgī
ham thakan se chuur nange farsh par so jā.eñge
kis ne sochā thā ye 'māhir' justujū ke josh meñ
jañgaloñ meñ vāpsī ke rāste ho jā.eñge
waqt ke daman se dagh-e-tirgi dho jaenge
dard ka suraj zamin-e-shab mein hum bo jaenge
aaj rone ki jagah par jin ko aati hai hansi
kal wahi hansne ke mauqe par lahu ro jaenge
kuchh na kuchh tuti ki bhi sunte agar ye jaante
ek din naqqar-KHane be-sada ho jaenge
raat ki ranginiyan munh dekhti rah jaengi
hum thakan se chur nange farsh par so jaenge
kis ne socha tha ye 'mahir' justuju ke josh mein
jangalon mein wapsi ke raste ho jaenge
- Book : Hari Sonahri Khak (Ghazal) (Pg. 230)
- Author : Mahir Abdul Hayee
- Publication : Bazme-e-Urdu,Mau (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.