waqt ke hathon mujhe majbur hona tha hua
vaqt ke hāthoñ mujhe majbūr honā thā huā
rishta-e-mehr-o-vafā kāfūr honā thā huā
tilmilā kar ro paḌī hai koshish-e-chāra-garī
mere dil ke zaḳhm ko nāsūr honā thā huā
tum rahe qaidī makāñ ke yā the ḳhvāb-e-nāz meñ
mujh ko din bhar kī thakan se chuur honā thā huā
kho ga.e rāhoñ meñ kitne hī yahāñ ahl-e-ḳhirad
daar par chaḌh kar jise mash.hūr honā thā huā
us but-e-tannāz kī āñkhoñ pe tohmat kyā lage
mere dil ke aa.ine ko chuur honā thā huā
ham to ai 'mushtāq' mast-e-sāqi-e-mahfil rahe
jis ko said-e-duḳhtar-e-añgūr honā thā huā
waqt ke hathon mujhe majbur hona tha hua
rishta-e-mehr-o-wafa kafur hona tha hua
tilmila kar ro paDi hai koshish-e-chaara-gari
mere dil ke zaKHm ko nasur hona tha hua
tum rahe qaidi makan ke ya the KHwab-e-naz mein
mujh ko din bhar ki thakan se chur hona tha hua
kho gae rahon mein kitne hi yahan ahl-e-KHirad
dar par chaDh kar jise mashhur hona tha hua
us but-e-tannaz ki aankhon pe tohmat kya lage
mere dil ke aaine ko chur hona tha hua
hum to ai 'mushtaq' mast-e-saqi-e-mahfil rahe
jis ko said-e-duKHtar-e-angur hona tha hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.