waqt ke KHudaon mein kaisi hoshiyari hai
waqt ke KHudaon mein kaisi hoshiyari hai
Mohammad Saleem Nashtar
MORE BYMohammad Saleem Nashtar
vaqt ke ḳhudāoñ meñ kaisī hoshiyārī hai
bhes haiñ amīroñ ke zehniyat bhikārī hai
ḳhud-baḳhud nahīñ haa.el nafratoñ kī dīvāreñ
kuchh ḳhatā tumhārī thī kuchh ḳhatā hamārī hai
laakh maiñ shahādat duuñ koī kyoñ ye mānegā
shams ne mire ghar meñ tīrgī utārī hai
kar liyā sabhī ne tai mujh ko to rulāne kā
ik hañsī pe merī to sab ko be-qarārī hai
qahqahe hoñ aañsū hoñ chāhe sukh hoñ yā dukh hoñ
merī jhoñpaḌī mujh ko har tarah se pyārī hai
dushmanoñ kī mahfil meñ le chalā mujhe ye dil
mujh pe ai ḳhudā kaisī bebasī ye taarī hai
ik zarā sā ġham 'nashtar' kyoñ bhalā na raas aayā
phuul ne to kāñToñ meñ zindagī guzārī hai
waqt ke KHudaon mein kaisi hoshiyari hai
bhes hain amiron ke zehniyat bhikari hai
KHud-baKHud nahin hael nafraton ki diwaren
kuchh KHata tumhaari thi kuchh KHata hamari hai
lakh main shahadat dun koi kyon ye manega
shams ne mere ghar mein tirgi utari hai
kar liya sabhi ne tai mujh ko to rulane ka
ek hansi pe meri to sab ko be-qarari hai
qahqahe hon aansu hon chahe sukh hon ya dukh hon
meri jhonpaDi mujh ko har tarah se pyari hai
dushmanon ki mahfil mein le chala mujhe ye dil
mujh pe ai KHuda kaisi bebasi ye tari hai
ek zara sa gham 'nashtar' kyon bhala na ras aaya
phul ne to kanTon mein zindagi guzari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.