waqt ke rang mein har bar sunen ghaur karen
vaqt ke rañg meñ har baar suneñ ġhaur kareñ
ek ik lamhe kī raftār suneñ ġhaur kareñ
mere hamrāz ne duniyā kā chalan siikh liyā
ab ka.ī hoñge giraftār suneñ ġhaur kareñ
qasr-e-tahzīb kā me.amār saraktā hai tabhī
chīḳhne lagtī hai dīvār suneñ ġhaur kareñ
merī jo baat zamāne ko burī lagne lagī
haañ vahī sāhab-e-kirdār suneñ ġhaur kareñ
be-hisī vaqt ke āñgan meñ samar-bār huī
be-bharam ho ga.ī dastār suneñ ġhaur kareñ
'ālam'-e-shauq meñ shāmil hai zamāne kī ramaq
sāhab-e-zauq samajhdār suneñ ġhaur kareñ
waqt ke rang mein har bar sunen ghaur karen
ek ek lamhe ki raftar sunen ghaur karen
mere hamraaz ne duniya ka chalan sikh liya
ab kai honge giraftar sunen ghaur karen
qasr-e-tahzib ka meamar sarakta hai tabhi
chiKHne lagti hai diwar sunen ghaur karen
meri jo baat zamane ko buri lagne lagi
han wahi sahab-e-kirdar sunen ghaur karen
be-hisi waqt ke aangan mein samar-bar hui
be-bharam ho gai dastar sunen ghaur karen
'alam'-e-shauq mein shamil hai zamane ki ramaq
sahab-e-zauq samajhdar sunen ghaur karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.