waqt ke sath zindagi ka dukh
vaqt ke saath zindagī kā dukh
mire sar par hai har ḳhushī kā dukh
apne zaḳhmoñ ko bhuul jaatā huuñ
dekh letā huuñ jab kisī kā dukh
lailā-e-har-suḳhan pareshāñ hai
jab qalam meñ hai be-kasī kā dukh
ham-safar ab nahīñ koī merā
merā sāthī hai ham-rahī kā dukh
aaj me.arāj ho ga.ī merī
aaj bāñTā hai bandagī kā dukh
zindagī saarī bandagī merī
merā sajda hai aadmī kā dukh
tere shams-o-qamar mire kis kaam
mere ghar meñ hai tīrgī kā dukh
mar gayā apne vāste farhād
us ne kab sar liyā kisī kā dukh
kah rahī hai numūd kī har lai
band kaliyoñ meñ hai namī kā dukh
har talab se gurez-pā ik shaḳhs
chāTtā hai rahī sahī kā dukh
zindagī saarī rog meñ guzrī
thā ba-zāhir jo ik ghaḌī kā dukh
har koī us kā saath detā hai
jo nahīñ bāñTtā kisī kā dukh
vo sharīk-e-safar nahīñ hotā
maiñ uThātā huuñ dostī kā dukh
yād-e-yārāñ lahū rulā.egī
aur phir ek ajnabī kā dukh
ghaT gayā chāñd raushnī maddham
merī āñkhoñ meñ raushnī kā dukh
jaan par ban ga.ī ki aalam par
jaan levā hai āgahī kā dukh
waqt ke sath zindagi ka dukh
mere sar par hai har KHushi ka dukh
apne zaKHmon ko bhul jata hun
dekh leta hun jab kisi ka dukh
laila-e-har-suKHan pareshan hai
jab qalam mein hai be-kasi ka dukh
ham-safar ab nahin koi mera
mera sathi hai ham-rahi ka dukh
aaj mearaj ho gai meri
aaj banTa hai bandagi ka dukh
zindagi sari bandagi meri
mera sajda hai aadmi ka dukh
tere shams-o-qamar mere kis kaam
mere ghar mein hai tirgi ka dukh
mar gaya apne waste farhad
us ne kab sar liya kisi ka dukh
kah rahi hai numud ki har lai
band kaliyon mein hai nami ka dukh
har talab se gurez-pa ek shaKHs
chaTta hai rahi sahi ka dukh
zindagi sari rog mein guzri
tha ba-zahir jo ek ghaDi ka dukh
har koi us ka sath deta hai
jo nahin banTta kisi ka dukh
wo sharik-e-safar nahin hota
main uThata hun dosti ka dukh
yaad-e-yaran lahu rulaegi
aur phir ek ajnabi ka dukh
ghaT gaya chand raushni maddham
meri aankhon mein raushni ka dukh
jaan par ban gai ki aalam par
jaan lewa hai aagahi ka dukh
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 389)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.