waqt KHud ka KHud-baKHud hi ab hamein lana paDega
vaqt ḳhud kā ḳhud-baḳhud hī ab hameñ laanā paḌegā
valvale meñ aa ke ham ko ḳhuun mahkānā paḌegā
tīrgī taqdīr kī gar ḳhatm karnī hai hameñ to
phir hameñ apnā sitārā aap chamkānā paḌegā
zindagī kā lutf uThāne kī agar ḳhvāhish hai dil meñ
to javānī meñ hameñ kuchh bachpanā laanā paḌegā
gar nujūmī koī paḌh saktā hai hāthoñ kī lakīreñ
maut kā merī use tai vaqt batlānā paḌegā
is ḳhudā ne kāmyābī ko rakhā ūñchī jagah par
ab to mehnat kar ke hī ham ko vahāñ jaanā paḌegā
waqt KHud ka KHud-baKHud hi ab hamein lana paDega
walwale mein aa ke hum ko KHun mahkana paDega
tirgi taqdir ki gar KHatm karni hai hamein to
phir hamein apna sitara aap chamkana paDega
zindagi ka lutf uThane ki agar KHwahish hai dil mein
to jawani mein hamein kuchh bachpana lana paDega
gar nujumi koi paDh sakta hai hathon ki lakiren
maut ka meri use tai waqt batlana paDega
is KHuda ne kaamyabi ko rakha unchi jagah par
ab to mehnat kar ke hi hum ko wahan jaana paDega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.