waqt ki dahliz par baiThe hain jaane ke liye
vaqt kī dahlīz par baiThe haiñ jaane ke liye
muntazir haiñ maut ke ārām paane ke liye
kyā likhūñ jo zindagī apnī kahānī kah ga.ī
lafz lā.ūñ maiñ kahāñ se is fasāne ke liye
jo banāyā thā kabhī vo ghar bikhar kar rah gayā
ham taraste hī rahe us āshiyāne ke liye
mahfil-e-jām-o-subū meñ ab kahāñ vo raunaqeñ
ab kahāñ andāz-e-sāqī hai dikhāne ke liye
zeb detā hī nahīñ har baat par yuuñ rūThnā
kyā kareñ jā.eñge phir un ko manāne ke liye
zindagī kī uljhanoñ meñ har koī masrūf hai
'ashk' kis ke paas baiTheñ dil lagāne ke liye
waqt ki dahliz par baiThe hain jaane ke liye
muntazir hain maut ke aaram pane ke liye
kya likhun jo zindagi apni kahani kah gai
lafz laun main kahan se is fasane ke liye
jo banaya tha kabhi wo ghar bikhar kar rah gaya
hum taraste hi rahe us aashiyane ke liye
mahfil-e-jam-o-subu mein ab kahan wo raunaqen
ab kahan andaz-e-saqi hai dikhane ke liye
zeb deta hi nahin har baat par yun ruThna
kya karen jaenge phir un ko manane ke liye
zindagi ki uljhanon mein har koi masruf hai
'ashk' kis ke pas baiThen dil lagane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.