waqt ki dhup mein jine ki saza pai hai
vaqt kī dhuup meñ jiine kī sazā paa.ī hai
dasht-e-ehsās meñ kāñToñ se shanāsā.ī hai
us kā andāz-e-takallum hai baḌā tursh magar
us ke har lafz meñ ik nukta-e-dānā.ī hai
bhuul jaane kā bhī ehsās satā.egā bahut
yaad kartā huuñ to andesha-e-rusvā.ī hai
terī qurbat kā bhī ehsās huā hai mujh ko
chāñdnī shahr-e-badan meñ jo utar aa.ī hai
maiñ ne dekhe haiñ mohabbat ke zamāne 'kausar'
merī āñkhoñ meñ usī daur kī bīnā.ī hai
waqt ki dhup mein jine ki saza pai hai
dasht-e-ehsas mein kanTon se shanasai hai
us ka andaz-e-takallum hai baDa tursh magar
us ke har lafz mein ek nukta-e-danai hai
bhul jaane ka bhi ehsas sataega bahut
yaad karta hun to andesha-e-ruswai hai
teri qurbat ka bhi ehsas hua hai mujh ko
chandni shahr-e-badan mein jo utar aai hai
main ne dekhe hain mohabbat ke zamane 'kausar'
meri aankhon mein usi daur ki binai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.