waqt ki dil-lagi uruj pe thi
vaqt kī dil-lagī uruuj pe thī
raat bhar shā.irī uruuj pe thī
raat bhar fikr ne lahū thūkā
aur mirī bekalī uruuj pe thī
zaḳhm saare hī noch Daale the
vahshat-e-dil mirī uruuj pe thī
aks un kā nikhar ke aa baiThā
aur phir shā.irī uruuj pe thī
shor thā raat bhar bahut mujh meñ
raat bhar ḳhāmushī uruuj pe thī
'sahar' āñkhoñ se niiñd bhī gum thī
niiñd se dushmanī uruuj pe thī
waqt ki dil-lagi uruj pe thi
raat bhar shairi uruj pe thi
raat bhar fikr ne lahu thuka
aur meri bekali uruj pe thi
zaKHm sare hi noch Dale the
wahshat-e-dil meri uruj pe thi
aks un ka nikhar ke aa baiTha
aur phir shairi uruj pe thi
shor tha raat bhar bahut mujh mein
raat bhar KHamushi uruj pe thi
'sahar' aankhon se nind bhi gum thi
nind se dushmani uruj pe thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.