waqt ki intiha talak waqt ki jast amir-imam
vaqt kī intihā talak vaqt kī jast 'amīr-imām'
hast kī buud 'amīr-imām' buud kī hast 'amīr-imām'
hijr kā māhtāb hai niiñd na koī ḳhvāb hai
tishna-labī sharāb hai nashshe meñ mast 'amīr-imām'
saḳht bahut hai marhala dekhiye kyā ho faisla
teġh-ba-kaf haqīqateñ qalb-ba-dast 'amīr-imām'
zaḳhm bahut mile magar aaj bhī hai uThā.e sar
dekh jahān-e-fitna-gar terī shikast 'amīr-imām'
us ke tamām ham-safar niiñd ke saath jā chuke
ḳhvāb-kade meñ rah gayā ḳhvāb-parast 'amīr-imām'
waqt ki intiha talak waqt ki jast 'amir-imam'
hast ki bud 'amir-imam' bud ki hast 'amir-imam'
hijr ka mahtab hai nind na koi KHwab hai
tishna-labi sharab hai nashshe mein mast 'amir-imam'
saKHt bahut hai marhala dekhiye kya ho faisla
tegh-ba-kaf haqiqaten qalb-ba-dast 'amir-imam'
zaKHm bahut mile magar aaj bhi hai uThae sar
dekh jahan-e-fitna-gar teri shikast 'amir-imam'
us ke tamam ham-safar nind ke sath ja chuke
KHwab-kade mein rah gaya KHwab-parast 'amir-imam'
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 23)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.