waqt ki mehrbaniyan hain bahut
vaqt kī mehrbāniyāñ haiñ bahut
fāsle ab bhī darmiyāñ haiñ bahut
dar-o-dīvār par hai ek sukūt
aaj ghar meñ udāsiyāñ haiñ bahut
aur chehroñ pe tabsira be-sūd
apne andar bhī ḳhāmiyāñ haiñ bahut
aao phir ik hasīñ gunāh kareñ
apne hisse meñ nekiyāñ haiñ bahut
TuuT kar is liye 'sabā' bikhre
ḳhushk pattoñ meñ āñdhiyāñ haiñ bahut
waqt ki mehrbaniyan hain bahut
fasle ab bhi darmiyan hain bahut
dar-o-diwar par hai ek sukut
aaj ghar mein udasiyan hain bahut
aur chehron pe tabsira be-sud
apne andar bhi KHamiyan hain bahut
aao phir ek hasin gunah karen
apne hisse mein nekiyan hain bahut
TuT kar is liye 'saba' bikhre
KHushk patton mein aandhiyan hain bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.