waqt ki qaid se aazad karane aae
vaqt kī qaid se āzād karāne aa.e
āḳhirī vaqt mujhe muñh hī dikhāne aa.e
in dinoñ merī tabī.at meñ hai mad-hoshī sī
us se kah do ki mirā dard jagāne aa.e
maiñ ne jab pyaar kī daulat se navāzā hai use
vo bhī do bol mohabbat ke sunāne aa.e
umr-bhar saath nibhāne ko kahā hai kis ne
vo mire saath bas ik shaam manāne aa.e
dil ko dariyā ko baḌī der huī ḳhushk hue
koī bādal hī mirī pyaas bujhāne aa.e
jab se vo ruuTh gayā shaad yahī sochtā huuñ
kab mirā chāñd mire paas na-jāne aa.e
waqt ki qaid se aazad karane aae
aaKHiri waqt mujhe munh hi dikhane aae
in dinon meri tabiat mein hai mad-hoshi si
us se kah do ki mera dard jagane aae
main ne jab pyar ki daulat se nawaza hai use
wo bhi do bol mohabbat ke sunane aae
umr-bhar sath nibhane ko kaha hai kis ne
wo mere sath bas ek sham manane aae
dil ko dariya ko baDi der hui KHushk hue
koi baadal hi meri pyas bujhane aae
jab se wo ruTh gaya shad yahi sochta hun
kab mera chand mere pas na-jaane aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.