waqt ki zambil palTi aur us tak ja gira
vaqt kī zambīl palTī aur us tak jā girā
jism kā kashkol jis ne bad-duā se bhar diyā
āñganoñ tak aa ga.ī thī raushnī tasvīr kī
dhuup kā phailā huā thā shaam jaisā zā.iqa
maañd paḌne lag ga.ī saare charāġhoñ kī lapak
kis ne bujhte saa.e ko merī jagah hone diyā
rā.egāñ hote hue din ko milī rangat kī raat
sub.h raushan-dān ne manzar ko gadlā kar diyā
pahle maiñ us aks kī pahchān tak pahuñchā faqat
aur phir vo ā.ina-ḳhāna bhī mujh meñ zam huā
waqt ki zambil palTi aur us tak ja gira
jism ka kashkol jis ne bad-dua se bhar diya
aanganon tak aa gai thi raushni taswir ki
dhup ka phaila hua tha sham jaisa zaiqa
mand paDne lag gai sare charaghon ki lapak
kis ne bujhte sae ko meri jagah hone diya
raegan hote hue din ko mili rangat ki raat
subh raushan-dan ne manzar ko gadla kar diya
pahle main us aks ki pahchan tak pahuncha faqat
aur phir wo aaina-KHana bhi mujh mein zam hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.