Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt kya shai hai pata aap hi chal jaega

Shaad Aarfi

waqt kya shai hai pata aap hi chal jaega

Shaad Aarfi

MORE BYShaad Aarfi

    vaqt kyā shai hai pata aap chal jā.egā

    haath phūloñ pe bhī rakhkhoge to jal jā.egā

    jis ko mahfil se nikālo ge nikal jā.egā

    magar adbār to adbār hai Tal jā.egā

    kahīñ fitrat ke taqāze bhī badal sakte haiñ

    ghaas par sher jo pāloge to pal jā.egā

    kah diyā thā ki ye rahbar jo chunā hai tum ne

    saaf tote tarah aañkh badal jā.egā

    vo badalte hue māhaul sāñcha sahī

    koī sikka to nahīñ zehn ki Dhal jā.egā

    sub.h-e-māyūs-e-gulistāñ qasam phir kahiye

    bāġhbānoñ ke dimāġhoñ se ḳhalal jā.egā

    mai-kade aa ke vo insān baneñ na baneñ

    hazrat-e-shaiḳh īmān sambhal jā.egā

    sitam-o-zulm Tahnī bhī nahīñ phal saktī

    aap ne baaġh lagāyā hai to phal jā.egā

    farz haiñ ham pe bayānāt-e-basīrat ai 'shād'

    jis qismat meñ sambhalnā hai sambhal jā.egā

    waqt kya shai hai pata aap hi chal jaega

    hath phulon pe bhi rakhkhoge to jal jaega

    jis ko mahfil se nikalo ge nikal jaega

    magar adbar to adbar hai Tal jaega

    kahin fitrat ke taqaze bhi badal sakte hain

    ghas par sher jo paloge to pal jaega

    kah diya tha ki ye rahbar jo chuna hai tum ne

    saf tote ki tarah aankh badal jaega

    wo badalte hue mahaul ka sancha hi sahi

    koi sikka to nahin zehn ki Dhal jaega

    subh-e-mayus-e-gulistan ki qasam phir kahiye

    baghbanon ke dimaghon se KHalal jaega

    mai-kade aa ke wo insan banen ya na banen

    hazrat-e-shaiKH ka iman sambhal jaega

    sitam-o-zulm ki Tahni bhi nahin phal sakti

    aap ne bagh lagaya hai to phal jaega

    farz hain hum pe bayanat-e-basirat ai 'shad'

    jis ki qismat mein sambhalna hai sambhal jaega

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Shad Aarfi (Pg. 16)
    • Author : Muzaffar Hanfi
    • Publication : National AZcademy Delhi (1975)
    • Edition : 1975
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now