waqt majbur apni aadat se
vaqt majbūr apnī aadat se
badle lamhoñ ko apnī chāhat se
kab rahā shauq jītne kā hameñ
hārte hī rahe haiñ qismat se
us kī hī be-ruḳhī kā hai anjām
ham hue duur us kī ulfat se
dard ġham rañj aaheñ ḳhāmoshī
aur paayā hai kyā mohabbat se
us ne kar lī hī ḳhud-kushī āḳhir
thā pareshāñ vo apnī ġhurbat se
do nigāhoñ se daañv khelā phir
le ga.e dil ko vo sharārat se
ham ko banñā zamāne ke jaisā
aa ga.e tañg ham sharāfat se
'sārthī' tū bhī ab badal ḳhud ko
siikh kuchh to badaltī qudrat se
waqt majbur apni aadat se
badle lamhon ko apni chahat se
kab raha shauq jitne ka hamein
haarte hi rahe hain qismat se
us ki hi be-ruKHi ka hai anjam
hum hue dur us ki ulfat se
dard gham ranj aahen KHamoshi
aur paya hai kya mohabbat se
us ne kar li hi KHud-kushi aaKHir
tha pareshan wo apni ghurbat se
do nigahon se danw khela phir
le gae dil ko wo shararat se
hum ko banna zamane ke jaisa
aa gae tang hum sharafat se
'sarthi' tu bhi ab badal KHud ko
sikh kuchh to badalti qudrat se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.