waqt ne luTe hain hasti ke KHazane kitne
vaqt ne luuTe haiñ hastī ke ḳhazāne kitne
ḳhaak kā Dher hue qasr na-jāne kitne
ḳhvāb ehsās nazar yaad tasavvur dhaḌkan
maiñ ne tere liye rakkhe haiñ Thikāne kitne
aaj manzil pe pahuñch kar mujhe ehsās huā
raah meñ chhūT ga.e dost purāne kitne
dil vo panchhī hai kabhī daam meñ aatā hī nahīñ
chuuk jaate haiñ nigāhoñ ke nishāne kitne
jab bhī ta.abīr kī āñkhoñ se milā.īñ āñkheñ
ruuh ko chhed ga.e ḳhvāb suhāne kitne
dāman-e-sabr na chhoḌeñge kabhī ahl-e-vafā
tum banāoge mirī jaan bahāne kitne
kyā batā.ūñ maiñ rah-e-sher-o-suḳhan meñ ai 'atīb'
naqsh chhoḌe haiñ mirī fikr-e-rasā ne kitne
waqt ne luTe hain hasti ke KHazane kitne
KHak ka Dher hue qasr na-jaane kitne
KHwab ehsas nazar yaad tasawwur dhaDkan
main ne tere liye rakkhe hain Thikane kitne
aaj manzil pe pahunch kar mujhe ehsas hua
rah mein chhuT gae dost purane kitne
dil wo panchhi hai kabhi dam mein aata hi nahin
chuk jate hain nigahon ke nishane kitne
jab bhi tabir ki aankhon se milain aankhen
ruh ko chhed gae KHwab suhane kitne
daman-e-sabr na chhoDenge kabhi ahl-e-wafa
tum banaoge meri jaan bahane kitne
kya bataun main rah-e-sher-o-suKHan mein ai 'atib'
naqsh chhoDe hain meri fikr-e-rasa ne kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.