waqt ne sab tahrir kiya mere KHadd-o-Khaal pe kya guzri
vaqt ne sab tahrīr kiyā mire ḳhadd-o-ḳhāl pe kyā guzrī
tere baa'd jo saath chale the un mah-o-sāl pe kyā guzrī
dast-e-karam ne daad to paa.ī dād-o-dahish kī mahfil meñ
dast-e-karam ne ye nahīñ sochā dast-e-savāl pe kyā guzrī
ḳhuun hai lafzoñ āvāzoñ meñ ḳhāmoshī meñ lāsheñ haiñ
maslahatoñ ke ahd meñ dekho shahr-e-ḳhayāl pe kyā guzrī
nūr-e-sahar meñ nahāne vaale shab-āsūda kyoñ socheñ
jis kā lahū thā raunaq-e-shab us sham-e-jamāl pe kyā guzrī
sab kī nigāheñ tum par haiñ kyā pūchhe koī aise meñ
tum ko dekh ke jo gum-sum hai us behāl pe kyā guzrī
'qaisī' sāhab bastī-bastī khoTe sikkoñ kā hai chalan
ye mat pūchho ahl-e-hunar ke husn-e-kamāl pe kyā guzrī
waqt ne sab tahrir kiya mere KHadd-o-KHal pe kya guzri
tere ba'd jo sath chale the un mah-o-sal pe kya guzri
dast-e-karam ne dad to pai dad-o-dahish ki mahfil mein
dast-e-karam ne ye nahin socha dast-e-sawal pe kya guzri
KHun hai lafzon aawazon mein KHamoshi mein lashen hain
maslahaton ke ahd mein dekho shahr-e-KHayal pe kya guzri
nur-e-sahar mein nahane wale shab-asuda kyon sochen
jis ka lahu tha raunaq-e-shab us sham-e-jamal pe kya guzri
sab ki nigahen tum par hain kya puchhe koi aise mein
tum ko dekh ke jo gum-sum hai us behaal pe kya guzri
'qaisi' sahab basti-basti khoTe sikkon ka hai chalan
ye mat puchho ahl-e-hunar ke husn-e-kamal pe kya guzri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.