Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt ne yun majbur kiya

Sulaiman Jazib

waqt ne yun majbur kiya

Sulaiman Jazib

MORE BYSulaiman Jazib

    vaqt ne yuuñ majbūr kiyā

    ḳhud ko ḳhud se duur kiyā

    kab nashshe meñ tāqat thī

    ulfat ne majbūr kiyā

    terī yādoñ ne aa kar

    aur bhī kuchh ranjūr kiyā

    chāñd khaḌā thā raste meñ

    rukne par majbūr kiyā

    'jāzib' toḌā ā.īna

    aks ko chaknā-chūr kiyā

    waqt ne yun majbur kiya

    KHud ko KHud se dur kiya

    kab nashshe mein taqat thi

    ulfat ne majbur kiya

    teri yaadon ne aa kar

    aur bhi kuchh ranjur kiya

    chand khaDa tha raste mein

    rukne par majbur kiya

    'jazib' toDa aaina

    aks ko chakna-chur kiya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now