waqt qaem koi rishta nahin rahne deta
vaqt qaa.em koī rishta nahīñ rahne detā
merā ġham kyoñ mujhe tanhā nahīñ rahne detā
tishnagī ġhair kā ehsān uThātī lekin
merā aañsū mujhe pyāsā nahīñ rahne detā
ab muqaddar meñ kahāñ apnī ziyārat karnā
tujh se ġhāfil koī lamha nahīñ rahne detā
ġhair ko apnā banāne de zamāna kaise
ye to apne ko bhī apnā nahīñ rahne detā
baap kar detā hai aulād kī ḳhvāhish puurī
zid magar baap kī beTā nahīñ rahne detā
tang-dastī ko samajhtā huuñ ġhanīmat 'shā.eq'
varna yuuñ chain se paisa nahīñ rahne detā
waqt qaem koi rishta nahin rahne deta
mera gham kyon mujhe tanha nahin rahne deta
tishnagi ghair ka ehsan uThati lekin
mera aansu mujhe pyasa nahin rahne deta
ab muqaddar mein kahan apni ziyarat karna
tujh se ghafil koi lamha nahin rahne deta
ghair ko apna banane de zamana kaise
ye to apne ko bhi apna nahin rahne deta
bap kar deta hai aulad ki KHwahish puri
zid magar bap ki beTa nahin rahne deta
tang-dasti ko samajhta hun ghanimat 'shaeq'
warna yun chain se paisa nahin rahne deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.