waqt sab KHarch mera gham ko khapane mein hua
vaqt sab ḳharch mirā ġham ko khapāne meñ huā
kaam ik pal kā thā par ek zamāne meñ huā
is guzargāh pe chalne kī ḳhushī aur hī thī
ġham thā vo aur jo manzil ke na aane meñ huā
mahv thā kaun se mehvar pe ta.alluq kā tilism
vāqi.a merā thā zikr us ke fasāne meñ huā
dil kī jo saakh thī jazbāt ke ḳhitte meñ rahī
dard mash.hūr magar saare zamāne meñ huā
rang kā raag alag naqsh kī āvāz alag
rā.egāñ ḳhuun bahut ḳhaak uḌāne meñ huā
āḳhirash aan ke gum ho gayā mujh meñ hī raqīb
tiir kā qissa tamām us ke nishāne meñ huā
waqt sab KHarch mera gham ko khapane mein hua
kaam ek pal ka tha par ek zamane mein hua
is guzargah pe chalne ki KHushi aur hi thi
gham tha wo aur jo manzil ke na aane mein hua
mahw tha kaun se mehwar pe talluq ka tilism
waqia mera tha zikr us ke fasane mein hua
dil ki jo sakh thi jazbaat ke KHitte mein rahi
dard mashhur magar sare zamane mein hua
rang ka rag alag naqsh ki aawaz alag
raegan KHun bahut KHak uDane mein hua
aaKHirash aan ke gum ho gaya mujh mein hi raqib
tir ka qissa tamam us ke nishane mein hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.