waqt se aage nikalna chahiye
vaqt se aage nikalnā chāhiye
ham ko ab paanī pe chalnā chāhiye
is se aage zindagī āsān hai
girne vāloñ ko sambhalnā chāhiye
aañkh dasht-e-ārzū ho jaa.e to
ḳhvāb ko dariyā meñ palnā chāhiye
aam ho kuchh to ye karb-e-āgahī
zaḳhm se chashma ubalnā chāhiye
vo sambhal kar dekhtā hai aa.ina
aa.ine ko bhī sambhalnā chāhiye
dhuup meñ ho barf-bārī to 'amīr'
sañg ko shīsha ugalnā chāhiye
waqt se aage nikalna chahiye
hum ko ab pani pe chalna chahiye
is se aage zindagi aasan hai
girne walon ko sambhalna chahiye
aankh dasht-e-arzu ho jae to
KHwab ko dariya mein palna chahiye
aam ho kuchh to ye karb-e-agahi
zaKHm se chashma ubalna chahiye
wo sambhal kar dekhta hai aaina
aaine ko bhi sambhalna chahiye
dhup mein ho barf-bari to 'amir'
sang ko shisha ugalna chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.