waqt tezi se guzarta hai guzar jaane de
vaqt tezī se guzartā hai guzar jaane de
haañ magar yaad hī yādoñ meñ Thahar jaane de
tere ġham meñ to bikhar jaane se behtar ye hai
mujh ko taqdīr ke hāthoñ hī bikhar jaane de
mere baare meñ to sochā na kabhī bhī tum ne
ab jidhar se bhī bhaTak jā.ūñ udhar jaane de
maiñ ne kyā kyā nahīñ khoyā hai tirī chāhat meñ
man meñ aatā hai tujhe bolūñ magar jaane de
tum na.e din ke ujāle kī hasīñ raunaq ho
maiñ añdherā huuñ sarāsar mujhe mar jaane de
maiñ tujhe bhuul na paayā huuñ kabhī bhī lekin
maiñ tujhe bhūlūñgā dil se to utar jaane de
thak gayā huuñ maiñ 'aqīl' us ke binā jī kar bhī
aaj mujh ko mire va.ade se mukar jaane de
waqt tezi se guzarta hai guzar jaane de
han magar yaad hi yaadon mein Thahar jaane de
tere gham mein to bikhar jaane se behtar ye hai
mujh ko taqdir ke hathon hi bikhar jaane de
mere bare mein to socha na kabhi bhi tum ne
ab jidhar se bhi bhaTak jaun udhar jaane de
main ne kya kya nahin khoya hai teri chahat mein
man mein aata hai tujhe bolun magar jaane de
tum nae din ke ujale ki hasin raunaq ho
main andhera hun sarasar mujhe mar jaane de
main tujhe bhul na paya hun kabhi bhi lekin
main tujhe bhulunga dil se to utar jaane de
thak gaya hun main 'aqil' us ke bina ji kar bhi
aaj mujh ko mere wade se mukar jaane de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.