waqt tha nagawar kya karte
vaqt thā nāgavār kyā karte
ham bahāroñ se pyaar kyā karte
ḳhaak ban kar fazā meñ uḌte rahe
har taraf thā ġhubār kyā karte
ham chaman se hue haiñ ik sahrā
terā ġham thā apaar kyā karte
apne hī ġham se kab milī fursat
zindagī tujh se pyaar kyā karte
laash ḳhud apnī ham jalā aa.e
bachchoñ par e'tibār kyā karte
ham ne ḳhanjar uThā ke chuum liyā
apne yāroñ pe vaar kyā karte
zindagī to kuchh aur thī 'parkāsh'
rūp-ras kī bahār kyā karte
waqt tha nagawar kya karte
hum bahaaron se pyar kya karte
KHak ban kar faza mein uDte rahe
har taraf tha ghubar kya karte
hum chaman se hue hain ek sahra
tera gham tha apar kya karte
apne hi gham se kab mili fursat
zindagi tujh se pyar kya karte
lash KHud apni hum jala aae
bachchon par e'tibar kya karte
hum ne KHanjar uTha ke chum liya
apne yaron pe war kya karte
zindagi to kuchh aur thi 'parkash'
rup-ras ki bahaar kya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.