waqt zalim hai ijazat nahin deta mujhko
vaqt zālim hai ijāzat nahīñ detā mujh ko
ḳhud se milne kī bhī fursat nahīñ detā mujh ko
kyā ḳhatā mujh se huī hai ki zamāna yaaro
mere purkhoñ kī amānat nahīñ detā mujh ko
vo bahar-hāl mirī bhuuk miTā detā hai
sar chhupāne ke liye chhat nahīñ detā mujh ko
ab to munsif bhī hai sāzish meñ barābar kā sharīk
be-gunah huuñ pe zamānat nahīñ detā mujh ko
waqt zalim hai ijazat nahin deta mujh ko
KHud se milne ki bhi fursat nahin deta mujh ko
kya KHata mujh se hui hai ki zamana yaro
mere purkhon ki amanat nahin deta mujh ko
wo bahar-haal meri bhuk miTa deta hai
sar chhupane ke liye chhat nahin deta mujh ko
ab to munsif bhi hai sazish mein barabar ka sharik
be-gunah hun pe zamanat nahin deta mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.